Muje Kafi Log Sawaal karte hai ki C band Aur Ku Band Dish Antenna Mein Kya difference Hai. Agar aap C band Aur KU Band Mein Kya kya fark Hai wo janana Chahte ho toh aap ye article jarur Padhe.friends c Band aur KU Band Mein Dish antenna aur LNBF mein Difference Hota Hai.
Difference between C Band Aur KU Band dish antena and LNB
C Band Dish Antenna information :
- Ku Band Ki Dish Antenna se C band Ki Dish Antenna Badi Hoti Hai.
- C band Ki Dish Antenna Size 4 feet,6feet,8feet aur 12 feet hoti hai.yani ki C Band ki Choti dish antenna 4 feet hai aur badi dish 12 feet ki hoti hai.
- Ku Band se C Band Ki Dish Antenna Mein Achhe Signal Receive Hote Hai Usliye C Band Ki Dish Mein (Rain) Barish mein Signal Nahi Jate.
- C band ki Fequency range 3.7 – 4.2 GHz (Ya 3700 to 4200 MHz)hai, GHZ Yani Ki Gigahertz aur MHZ Yani Ki megahertz
- C band ki Frequency Low Hone Ke Karran Bahut Door Se Bhi Signal Receive hote hai. Usliye C band satellite ka sitemap bada hota hai. Aur hum c band dish se dusari country ke satellite ke signal receive kar pate hai.
- imporatn topic yeh hai ki C band dish ka Ghz choota hone ke karran c band ki frequeancy 4 Digit mein hi hoti hai. Exmple 3410
- C band Ka LNBF Bhi KU Band LNBF se alag Aata Hai.( C band aur ku Band Ek Sath me Ho Aisa Multi LNB Bhai Aata Hai.
- Agar Hum KU Band ka LNBF C Band Ki Dish Antenna Mein Set Kare toh Signal Receive kar sakte hai kyonki C band ki Dish Antenna Badi Hoti Hai. Example agar hum C Band Ki Dish Antenna Mein AsiaSat 5 Satellite set kare toh dusari KU Band Lnb Laga Kar Gs 15 Satellite Bhi Sat Kar Sakte Hai.
- C band aur Ku Band Dish Mein LNBF Arm Ka Bada Diferanc hai,ke LNBF Arm ke Length (Lambai) Ku Band Dish Antenna Se Jyaada hoti hai. Yani ki LNBF Arm Dish reflector Se join hota hai.
Use Jarur Padhe:
- DiSEqc Switch Work kaise Karta Hai ?How to Use DiSeqc Switch ?
- How to Check Satellite Direction ? Dth satellite angle check kaise kare
Ku Band Dish Antenna Information:
- C Band Ki Dish Antenna Ke Mukable Ku Band Dish Antenna Choti Hoti Hai.
- Ku Band Dish Antenna Size:40 CM, 60 CM,65 Cm Aur 90 Cm yani ki KU Band Dish Antenna 2 feet ya sabse badi 2.5 feet ki hoti hai.
- Ku Band ki Frequency Range 11.7 – 12.2 GHz (or 11700 to 12220 MHz) Hai. Yani Ki Ku Band Ki Frequency C Band Frequency se High Hai.
- Ku Band Ki Frequency High Hone Ke Karaan Ku Band Satellite Ka Sitemap Short Hota Hai. Exmaple Asiasat 5 C Band Ka Satellite Hai Usliye Uske Signal Kafi Country Mein Receive ho Rahe hai aur Gs 15 Ku Band ka satellite hai aur uska sitemap only india hai.
- important topic yeh hai ki Ku Band Ki Frequency 5 Digit mein Aati Hai. Exmple Gs 15 Satellite Frequency 11090 hai.
- 90 Cm Ku Band Mein Aap C band ka LNB Laga Kar C band ke satellite ka signal set kar sakte ho.lekin apko signal kam milenge.
- Ku Band Ke Dish antenna Mein LNBF Arm Ki length Kam Hoti hai.yani ki Lnbf Arm Dish Antenna Ke Piche Lage Huye Basket Se Join Hota Hai. Jaise ki Tatasky Ki dish antenna,dishtv ki dish antenna…