Friends ! Dth Mein Channels Satellite Se Chalte Hai . Yani ki Agar hume Dish antenna Install karne se Pehle Dish antenna Kaun se Satellite Par Set karni Hai wo Hume Pata Hona Chahiye. Aaj mein apko Is Article Mein Apko Share Karunga Ki Indian Dth kaun-kaun se satellite Par chalte Hai ?Satellite Direction Kya Hai? Aur satellite direction check ya Set kaise kare ?
DTH Satellite Direction Information Hindi Me:
DTH Set top box Mein Satellite Se Dish Antenna Ke Madhyam Se Signal Receive Hote Hai. Sabhi Dth Company Ke Satellite Alag-Alag Hote Hai Usliye Sabhi DTH Company ka Dish Antenna Ka Direction Bhi Alag-alag Hota Hai. Satellite Direction Yani Ki Dish Antenna Ki Satellite Ke Aur Disha (Zone). Satellite Akash (SKY) mein Ek Jagah Par Sthit(स्थित) Hai Usliye Sabhi Jagah Par Satellite Ka Direction Samaan ( Equal) Hota Hai. India Me Tatasky,Dishtv ,Airtel DTH,Videocon D2H,DD FreeDish,ABS Free Dish,Reliance Big Tv ,Sun Direct etc DTH Brand Hai. Ye Sab DTH Brand Ke Kaun Kaun Se Satellite Hai Aur Satellite ka Direction kya Hai wo hum Janane ki Koshish Karte Hai.
Indian Dth Satellite Name And Satellite Angle Information:
- Satellite Direction For Dishtv and DD Freedish :
Friends Dishtv 3 Satellite Par Chalta Hai Aur 3 satellite ka direction bhi Nazdik Hi Hai. Gsat- 15 ki satellite direction 93.5° East,Nss-6 Aur SES 8 ki Satellite Angle 95.0°East and Asiasat Satellite Direction 100.5°East mein Hai. Yani ki Dishtv Satellite direction India mein 93.5°/95.0°/100.5° East Disha Mein Hai.Dishtv mein NSS-6 Satellite Par Pay Channels,Gsat 15 Par Free to air Channels Aur Asiasat Par HD Channels Set Hote Hai.Usliye DD freedish ki Satellite Direction India Mein 93.5° East Mein Hai.
- Tatasky Satellite Direction
Tatasky Insat 4A and G Sat 10 Par Chalta Hai. Insat 4A Aur GSat 10 Satellite Angle 83.0°East Mein Hai. Yani Ki Tatasky Satellite Direction East Disha Mein 83.0° Hai.
- Airtel Digital tv Satellite Angle:
Dosto Airtel Dth Pehle Insat 4CR Par Chalta Tha. Kuch Technical Kharabi Ke Kaaran Airtel Ne Apna Satellite Change Kiya Hai. Airtel Dth Ka New Satellite SES 7 Hai. SES 7 Ka Satellite Direction 108.2°East Mein Hai. Yani Ki Airtel Digital Tv New Satellite Angle East Disha Mein 108.2° Hai.
- Videocon D2H Satellite Direction in India:
Videocon D2h Sat- ST 2 Satellite Par Chalta Hai. SAT-ST2 Satellite East Disha Mein 88.0° Par Hai. Yani ki Videocon D2h Satellite Direction 88.0° East Mein Hai.
- Reliance Digital tv satellite Direction:
Reliance Bigtv Sat- Measat 3 Par Chalta Hai. Sat-Measat 3 91.5°East Par Hai. Yani ki Reliance Bigtv Ka Direction East Dish Mein 91.5° Hai.
- Sun Direct Satellite Direction
Sun Direct Sat- Measat 3 Aur Insat 4B yeh Do Satellite par Chalta Hai. Measat 3 at 91.5°East & Insat 4B at 93.5°East par Hai. Yani ki Sun Direct Dth Satellite Angle East Disha Mein 91.5°/93.5° Par Hai
How to check Satellite Direction |Satellite Angle Check Kaise Kare ?
Dish Antenna Setting Karne Ke Liye Hume Satellite Ka Direction Toh Pata Hona Hi Chaiye. Agar Hume Satellite Ka Angle Pata Na Ho Toh Dishpointer website Mein Hum Dish Antenna Ka Direction,Azimuth angle, Elevation angle aur LNBF Skew Angle Check Kar Sakte Hai.
Dish Antenna Ka Satellite Angle Set Karne Ke Liye Apke Pass Compass Hona Jaruri Hai. Agar Aap ke Pass Android Mobile Ho Toh Aap Compass App Download Karke Install Kar De. Kyonki Satellite ka Direction Hum Compass Se Hi set Kar Sakte Hai. Sabse Se Pehle AAp Compass Ko Jaha Par Dish Antenna Install Karni Hai Waha Par sapat Gagah Par Rekhe. Ab Aap Dekhe Ke Ki Compass Ke Under Ek Magnetic Sui Hogi. AAp Us Magnetic Sui Ko Compass Se Di Gaye ”N” Par Laye. Aap Magnetic Sui Ko ”N” Par Lane Ke liye Compass Gol-Gol Guma Sakte Ho. Magnetic Sui ”N ”Ke Samne Aaa Jaye Toh Samjana Ki ”N” yani ki North(Uttar) Disha Hai. (Compass mein Jaha N Symboll Hai Wo Apki North Disha Hai)
Aapke Compass Mein 0°,20°,30°………340° Aisa Maap Diya Hoga.Ab Aap Apne Satellite Ke Maap Kaha Hai Wo Aap Aasani Se Anumaan Laga Sakte Hai. Example Muje Airtel Digitaltv Ke Signal Sat Karne Hai, Airtel Dth Ka Satellite SES 7 East Dish Mein 108° Par Hai. Toh Mein Sabse Pehle Compass Mein Norh Dish Fix Karunga Aur Baad Mein Dekhunga Ke Compass Mein 108° kaha Par Hai. Jaha Par Bhi 108° Hai Wahi SES 7 Satellite Hoga. Mein Waha Par Dish Tracking Karunga Toh Signal Set Ho Jayenge. Ustarah Hum Kisi Satellite Direction Compass Se Check kar Sakte Hai.
Most Read:
- Lnbf skew Angle Kya hai? Dish Antenna mein Skew Angle Kaise Check kare
-
Dth Mein LOS Problem Kya Hai ? Line Of Sight Issue Solve Karne tricks
Extra Shots:
- Agar Aap Ke Pass DTH Related Koi Bhi Sawaal Aap Comments Karke Puch Sakte Hai. Hamari Yeh Post Pasand Aaye Toh Aap Hamara Facebook Page Like Kare. DTH Ke Latest Update Apne Mail Box Mein Pane Ke Liye AAp Hume News Letter Box Mein Subscibe Kare. Yeh Post Apne Friends Ko Share Toh Jarur Kijiye…