Dosto India Mein Kafi Ghar Pe Tv Nahi Lekin Computer Hai. Muje Kahi Baar Ye Sawaal Logo se Sunane Milata Hai Ki Computer monitor mein TV Kaise Chalaye. To Aaj Hum Is Topic Ke Madhyam se ye Sikhenge Ki Computer monitor mein DTH Ya Koi Bhi Product Kaise Chalaye.
Monitor mein TV Chalne ke Tarike:
- Tv Tuner se
- Computer TV Card se
- HDMI To VGA converter Cable Se
TV Tuner se Monitor mein Tv Kaise Chalaye ?
Agar Aapko Monitor mein Tv Chalana Hai toh TV Tuner se Aasani Se Monitor mein TV Chal Sakte Hai. Monitor me Tv Tunner Kaise Connect ya Join Kare Ye Me Aapko Batau Aise Step by Step Kijiye. Aap Aasani Se Kar sakonge.
- Pehle to Tv Tuner Ke Piche Dekhe VGA Output Port Hoga Isme Aap Monitor Ka VGA Cable Connect Kar Dijiye.
- Ab Aap Tv Tuner ke side me ya Piche Red,Yellow Or White Colour ki AV Input Port Hoga Isme aap Audio-Video (3 RC) Ki Pin ki Ek Side Lagade Aur Dusari Side Par Aap Ko Jiska Output Lena Hai (DVD,DTH…) Us Par Join Kijeye.
- Tv Tuner 5 V Input me port me Tv Tuner ka Power Supply Laga Digiye.
- Ab Aap Tv Tv Tuner, monitor , DVD Ya DTH On Kijiye Aur Tv Tuner ke Remote me se Input Botton Press kare. Av Source Select Kare. Aapka Kaam Ban Jayega. Apke Monitor me Tv Shuru Ho Jayegi.
Computer mein TV Card se Monitor me Tv Kaise Chalaye ?
Friends Tv Card Se Monitor me Tv Chalne ke Liye Sabse Pehle CPU me TV Card Install Karna Hoga. CPU ke Motherboard Me Tv Card Install karne
ka Solt Hoga Usme Aap Tv Card Thik se Install Kijiye.
Ab Aap ke Tv Card Ke Rf Input port me Rf Cable ki Ek Side Laga De. Rf Cable ki Dusri Side par Aapko jo bhi Source chalna Hai Us Ke Rf Output me Rf Cable Laga de Laga de. Example Aap ko DTH Chalna Ho To DTH ke Set top box Ke Rf Output me Rf Cable Lagaye.
Aap Apna Computer on Kijiye Aur TV Card Software Download Kar ke Install Kijiye. Software open kijiye aur set top box bhi Start Kijiye. Aap ka Kaam Ho Jayega. Apke Computer me Tv Start Ho Jayegi.
Tv Card Se Monitor me TV Aur Computer Dono Ek-Sath Chalte Hai. Aap Software Close karoge toh TV Bandh Ho Jayegi.
HDMI to VGA Cable se Moniter me DTH ya TV Kaise Chalaye?
Monitor me TV Chalne ka Sabse Aasan Tarika Yeh Hai. Aap HDMI To VGA Cable Se ka HDMI Wala Solt DTH ke HD Set top box Me me dale Aur Dusre Side VGA Female port Aata Hai. Usme Aap Monitor Ka VGA Cable Male Solt Join Kijiye.
Ab Aap Set top box Aur Monitor Dono Start Kijiye. Apke Set top BOx Ka Connection Monitor me Aa Jayega Aur Tv Shuru Ho Jayegi.
HDMI To VGA Cable Se Monitor me TV Dekhane ke Liye Aap ke Pass HD Set top box aur High Resolation Wala monitor Hona Chahiye. Agar Apka Monitor Normal ya Low Resolation Wala Hoga toh Error Aa Jayegi aur TV Chalu Nahi Hoga.HDMI To VGA Cable Ki Market me Price Rs 450 Ke Aaspass Hai.
Agar Aap Ke Monitor me HDMI To VGA Cable se TV Start Nahi Ho Raha hai Toh HD Set top box ko Kisi Dusari Tv Me Laga kar Resolation Kam Kar de.
Extra Shots:
- Agar Apko Meri Ye Post Pasand Aaye toh Apne Dosto ko Jarur Share Kare.
- Computer ya Dth Releted Koi Sawaal Ho To Hame Comment Karke jarur Bataye.
- DTHTIPS Ki Leatest Post Apne Email Box me Pane ke Liye Hame Subcrib Kijiye. Hamara Facebook Page Like Kijiye.