Hello Friends Aajke ke Article mein Solid 6363 Recover USB Method bataunga. Jisase aap Dead Solid 6363/6303/6363 new Set-top-box ko usb se recover kar sakte hai. Iske liye apko rs 232 cable ya bios programmer ki jarurat nahi hogi.only aap pendrive se hi solid Set-top-box recover kar sakte hai.agar apka box me koi software downgrade nahi ho pa raha ya toh apke box remote work nahi karta ho ya phir boot logo par atak gaya ho toh aap chutkio me apne box ko USB se recover kar sakte hai.
Dead Solid 6363 Recover USB Method:
- sabse pehle aap ek pendrive ko kijiye.aur frist step aap apne usb drive format kijiye.
- Format karne ke baad niche di gayi File Download karke usb drive mein copy kijiye.is baat ka dhyaan rakhe ki usb drive(pendrive) mein only niche di gayi file honi chahiye aur file ko rename nahi karna hai.
Solid 6363 USB Recover software Download:click here
NEW Solid 6363 USB Recover software Download:click here
- Ab apko apne usb drive Set-top-box ke usb port mein attach karna hai.
- Iske baad apko Set-top-box ke front panel mein se ok button press karke rakhna hai aur settopbox main power se on karna hai.
- Ab apke Set-top-box ke display E01..02.03 karke process start ho jayegi.iske baad P01..02..03 Process hoga.aur last mein OTA Likh kar aayega.
- Phir apko Set-top-box main power restart karna hai. Apka box Recover ho jayega.