Agar Apka DTH Ke Smart technician Banana Chahte Hai Toh Dth Technical Batein Ka Gyan Hona Bhi Jaruri Hai.Aaj Mein Aisi hi Ek Best Technical Help Hindi Mein Share Karunga. Aap Chahte Hai Ki Apke DTh Installation Mein Feature Mein Problem Na Aaye Toh Apko LOS Problem Ke Bare Mein Pata Hona Chahiye. Agar Nahi Hai Toh Aap Yeh Post Ko Dhyan Se Padhe. Mein Is Post Mein LOS Problem Ki Detail Share Karuna.
Dth Mein LOS Problem Kya Hai ?
LOC Ka Full form Hai “Line Of Sight”. Dish Antenna Mein Satellite Se Signal Catch Up Hota Hai. Dish antenna Aur Satellite Ke Biche Koi Bhi Avarodh Aaye toh Dish Antenna Par Signal Nahi Aate. Jab Dish Antenna Aur Satellite ke Bich Mein Koi Bhi Avarodh (disturbance) Ke Kaaran Signal Na Aaye Aaise Problem Ko LOS (Line Of Sight) Problem Kehte Hai.
LOS Issue Solve Karne tricks:
- Agar Apne Dish Antenna Install Ki Hai Aur Signal Achhe Nahi Mil Rahe Toh Aap Yeh Check Kijiye Ki Apki Dish Antenna Ke Samne Koi Avarodh Toh Nahi Hai. Agar Apke Dish Antena Ke Samne Tree,Buiding Ya Koi Bhi Avarodh Aaye Toh Apka Dish Antena Signal Catch Up Nahi Karega. Aisa Problem Hai Toh Aap Dish Antena Relocate Kijite Ya Avarodh Ko Door Kijiye.
- Aap Dish Antenna Install Karne Jaye Waha Aap Compass Se Yeh Check Karle Ki Dish Antenna Aur Satellite Ke Bich Mein Koi Tree Ya Bulding Ka disturbance toh Nahi Aa Raha ? Aap Pehle Se Hi Line Of Sight Check Karenge Toh Baad Mein Koi Dish Relocate karne Ki Pareshani Nahi hogi.
- Apne Android Mobile Se Bhi LOS Problem Check Kar Sakte Hai. Uske Liye Apko Apne Mobile Par Dish Pointer App Download Karni Padegi. Dish pointer App Nich Se Download Kar Sakte Hai.
- Dish Antenna Ki Signal Quality Minimum 70% Honi Chahiye. Agar Apke Installation Mein LOS Issue Hoga Toh Itani signal Quality Nahi Milegi. Customber Ko Feature Mein Signal Ka Problem Rahega. Usliye Aap Hamesa Line Of sight Ka Problem Na aaye Aisi Jagah Par Dish Antenna Install Kijiye.
- Aap Jab Bhi Dish Install Kare Tab Yeh Bhi Dhyan Rakhe Ki Koi Tree Feature Mein bada Ho Kar Dish ke Samne Na Aaye.
Most Read: