dd biss key in solid 6141 set top box:Friends Aaj main apko Solid 6141 set top box main Biss key Kaise add kare uske baare main details me bataunga. Dosto Kuch Satellite par Scramble Channels Power VU Key And Biss par chalte hai.Biss Yani Ki Ek 16 Digit Satellite key hai,jise Set top box main add Karne Se Channels Free Chal jate hai.Sabhi Set top box menu ke hisaab se Biss Key Add Karne ka Formula Alag-alag hai.But Biss key Sabhi Satellite ki Same Hoti Hai.Aaj Main Yeah Post Mein Solid 6141 Set top box main Biss Key Kaise Add kaise Kare? Uske Baare mein Details Mein Batana Wala Hu.
how to add biss key in solid 6141 set top box ?
Friends Koi Bhi Satellite Ki Biss Key Add Karna aasan hai. Jis Channel ka apko Biss Key Add Karni hai uska Apko channel SSID Chahiye. Koi Bhi Set top box main mein Channels SSID Dekhne ke Liye Apko Info Button Press Karna Hai. Aap Info Button Press Karenge Toh Niche Image Main Dikh Raha Hai Channels Ka Information Mil Jayega.
Set top box main Biss Key Add Karne Ke Liye Apko Remote se Green Button (GO TO) Press Karna Hai.App Goto Button Press Karenge Toh Apko Tv Screen Par Niche Diya Hai Aisa Constant.cw Edit Menu open hoga.
Biss Key Add Karne Ke Constant.cw Edit Menu Main Apko CAID Red Button se,Service ID Green Button Se,ProvID Yellow Button Se Aur CW Key Blue Button Se Add Hoga. Most Of CAID Aur ProviD Apko 0000 Rakhna Hai.Apko Service ID Add Karna Hai,Iske Liye Remote Se Green Button Karna Hai.
Channels ka Jo SSID Nikaala Tha wo Yaha Par Enter Karke Green Button Press Karke Save Kar lena Hai.
How to Enter Biss Key In Solid Box:
Ab Biss Add Karne ke Liye Apko CW Key Add Karna Padega.Koi Bhi Satellite Ka CW Key Internet Par Mil Jayega.Dthtips.com website par bhi Apko Channels Ka Cw Key Mil Jayega.
Ab CW Key Add Karne ke Liye remote main Blue button Press karna hai.
Yaha Par Apko Channels Ka 16 Digit ka Biss Key (CW KEY) Add karan hai.itana dhyaan rakhe ki yeah Biss Key Apko Yaha Par 2 Baar Add Karna Hai.Biss Add Karke apko Blue Button Se Confirm karna hai. Baad main Me Biss Key set top box main Save Karne Ke Liye RECALL Button Press Karna Hai.Aise Aap Biss Ki Add Karenge Toh Apke Biss Key Wale Channels Apke Box Main Start Ho Jayenge.
Also Read:
- Intelsat 17 @ 66E Sony HD Network Power KeysÂ
- Turksat 42E Tandberg Keys and Fox Network Channels List
Friends Kabhi Settopbox main Add biss key  Karne ke liye Apko Frequency Ka Option Aata Hai.Aise Box Main Apko Biss Key Add Karne ke Liye Channels Ka Frequency Number Bhi Add Karna Padega.