
Multi satellite setup-intelsat 17 and intelsat 20:Hello friends HD channel free to air dekhna Chahte Hain to aaj ka article aapke liye best rahega.To mai aap ko friends Aaj bata dunga 2 satellite ke baare mein Jise aap Lagane Ke Baad ekdum free mein Sony aur Discovery ke channel dekh sakte hain. Dosto Is satellite ka naam hai (intelsat- 20 ) aur (intelsat 17), to doston yeh 2 satellite lagan Ke Baad aap bahut Sare free-to-air aur kuch paid HD channel Ka Maza Le sakte hain.yeah do satellite ko Bade Aasan tarike se kaise laga sakte hain ye mai aap ko aaj bataunga.
Multi satellite setup-intelsat 17 and intelsat 20 in one dish
Friends, intelsat 20 aur intelsat 17 Yeh do satellite (c- band) ke satellite Hain.To is main aapko (c -band )ke prime focus dish ki jarurat padegi.
Ab main friends aapko batata hoon intelsat -20 or intelsat -17 yeh 2 satellite mein se koi bhi satellite agar aap Lagana set karna Chahte Hain to kam se kam aap ko 6 feet se (8 feet) ke dish chahiye. Tbhi aap kis ke badhiya signal sakte hain.
intelsat 17 and intelsat 20 Coverage Map In India:
friends Dono satellite Ka coverage bhi bahut achha hai. Agar aap esy India. India, China Pakistan, Afghanistan, Iran ,Iraq ,Saudi Arabia Yemen ,omen, Turkey Or Rasiya my bhe set kar sakte hain. Main aapko coverage Map Khata Hoon.
Dosto aapko coverage Map main samajh mein aa gaya hoga.
Intelsat 20@ 68 east dish tracking:
To baat karte hain dish setting ke baare mein ,to dish setting kaise karna hai yeah main aapko batata hoon. (intelsat 20) sabse Aasan tarika hey ki Aap ku- Band ki lnb dish pe Laga Ke (eutelsat 70B) ko set karna hain ye 70.5 East pe aata hai. Tu Hi Tarika best rahega. Phir aapko Ku -band ka lnb Nikal Ke c- band Ka l.n.b lagana hai. aur aap ko setup box ko scan karna hai To aapke intelsat 20 channel aa lagenge. Phir aap ko jo uska last channel hai. Uska signal Badhana Hai ..Dish ko Aage Piche move Karke aap signal badiya kar sakte hain. Ek Baar Phir Se set top box ko scan Karenge to aap ke pure channel aa jayenge. 8 feet dish pe bhi aap badhiya signal Le sakte hai.
intelsat 17 dish tracking :
Ab baat karte hain intelsat -17 ki to ese set karna bahut Aasan hai. aapko intelsat -20 set karne ke baad .Dish kuch nahi karna hai. Aapko Ye tp 3845 -H-30000. Apne mpg4 box mein add karna hai or Bas Dish ko Thoda Sa right side ghumana hai. To Aap Ka intelsat -17 set ho jayega. Phir is 3845 -H-30000 Tp pe aapko Sony ke HD channel dekhne ko Milenge. Bas aap ka setup box auto-roll. Power view key support hona chahiye. Tu yeh Dono satellite Ke Sony aur Discovery wale wale scramble channel ko free mein dekh sakte hain.
intelsat 17 and intelsat 20 dish tracking in one dish:
Ab main aapko badiya Jugaad batata hoon. Jis Se Aapko 2 dish kharidne ki jarurat nahi hai. Or Aapka Paisa waste nahi hoga or Dono satellite ka signal bhe Mil Jayega . To aapko Dono satellite ko ek hi dish me set karna hai. Yanike( multi satellite set up) to Kaise set Karte Hain Ye batata hoon. Tu iske liye aapko jo LNB ka feed horn hai. isko karna padega. Kyu ki Dono satellite Bagal Mein Hai sat Hote Hain. To mere paas kata Hua feed hone Hai To Mai aap ko photo dikha Ta Hoon.
multi satellite (66E And 68E) feed horn cutting:
To aapko feed horn eis tarike se Katna hai. Aur aluminium welding karwa sakte hain. Taki aapka LNB Hile nahi aur permanent setup Ho Jaye.
Multi satellite setup-intelsat 17 and intelsat 20 LNB Position:
Phir aap intelsat 17 or intelsat 20 ka ek hi dish pe signal aayega To main ise 6 feet Prime Focus dish or 8 feet ki dish pe sat Kiya Hai to main aap ko photo dikha Ta Hoon.
To dosto aapko lnb position Kuch Is tarike se Rakhna hai. Mane 66 east and 68 east Kisi Ka Bhi Centre nahi Banaya hai. Dish ke centre Dono Ke LNB ke beech mein hy .or aapko lnb position photo mein dikha Ye vaise Rakhna hy. aap is tarike se multi satellite setup kar sakte hain. or Aur Bhi jyada channel dekh sakte.
Also Read:
tu yeh tha Dosto aaj ka Hamara Multi satellite setup-intelsat 17 and intelsat 20 in one dish .to Asha karta hoon aapko Ye Hamara aaj ka Multi satellite setup accha laga hoga. To Hamare page ko share kijiye ga .or dosto aur bhi Hamary sei tarike ke article padhane ke liye Hamary DTH tips.com par Bane Rahe. Dhanyavad