Friends ! Aaj Mein Is Article Mein Apko Share Karunga Ki Solid Free To air Set top box Mein USBSe Internet Connect Kaise Kar Sakte Hai ? Aaj Ke Naye Free to air Set top box Mein Youtube,Iptv,Vod Service Chalane ke liye Internet connect aata hai.Set top box mein Internet 2 Tarike se Connect hota hai.
- Ethernet/LAN-WIRED Network
- .WiFi Wireless Network
LAN Connections Bahut Hi Mahega aata hai,kyonki LAN Connection Broadcast service provider dete hai.Uska Monthly Rate Jyaada hota hai. LAN Connection Chote chote Village mein Abhi Tak Available Nahi Hai.Usliye Mostly Log LAN Connection se Set top box Mein Internet Nahi Chalate.WiFi Network Ko Chalane Ke Liye Bhi LAN Connection Hona Chahiye.Kyonki WiFi Connection LAN Cable Ko Router se Connect Karne Se Milata Hai. Aur LAN Connection Costly Hai. WiFi Connection Aap Smart Phone Ke Hotspot se Mil Sakta Hai.But Uske Liye Aapko Set top box mein WiFi Dongle Alag Se Connect Karna Hoga.Aur WiFi Dongle ke Liye Apko Additional Cost Pay Karna Padega.
Set top box mein Internet connect Karne Ke Yeh 2 Tarike Mein Se Ek tisara Cheapest Aur Best Rasta Hai ki Aap USB Cable Se Set top box mein Internet Connection Kar sakte Hai.Aajkal Sabhi Ke Ghar Smart Phone Aur USB Data Cable Hota Hai.Aap USB Cable Se Bhi FTA Set top box Mein NET Connect Karke Youtube,IPTV,VOD Chala Sakte Hai.
Solid Set top box mein USB Se Internet connect Kaise kare ?
Friends Aap Koi Bhi Solid Set top box Mein USB Network Se Internet Connect Kar Sakte Hai. Is Article Mein Mein Apko Solid 6068 Model Ka Demonstration Kar Ke Dikhaunga.
STEP :1 Set top box Ko TV Ke Sath Connect Karke Power On Kare.USB Port Mein USB Data Cable Dale.
STEP:2 Set top box Remote mein se MENU >>SETTING >> Link Type >>USB Network Par SeLect Kare.
STEP:3 Ab Apke Mobile Ko USB Data Cable Mein Connect Kare. Smart Phone Mein Slide Down To Top Down Bar Setting Nikale Usme Aap Select More Par Click Kare.
STEP :4 Ab Aap USB Tethering Select Karke On Kare.
Ab Apka Internet Connection USB Data Cable Se Set top box mein Connect Ho gaya Hai.Uska Message Bhi Apko Tv Mein Diloge Box Mein Aa Jayega. WiFi Wireless Network Se Achhi Speed Milegi.Aur Apko Koi Extra WiFi Dongle Lane Ki Jarurat Nahi Padegi. Ab Aap USB Data Cable Se Set top box mein Youtube,Iptv,VOD Etc Chala Sakenge.
Yeh System Solid Ke New Model Software mein Kaam Karengi Jaise Ki HDS2 6078,HDS2 6105,Hds2 6141 etc….